My Inventions: The Autobiography of Nikola Tesla
Nikola Tesla ek Serbian-American inventor, electrical engineer, mechanical engineer, aur futurist the. Unka janm 1856 me hua tha. Unhone duniya ko alternating current (AC) ka system diya, jo aaj bhi electricity distribution ka base hai. Tesla ne induction motor, Tesla coil, wireless energy transmission, aur remote control jaise kaafi inventions kiye. Unka kaam Thomas Edison ke saath rivalry aur Westinghouse ke saath partnership ke liye bhi famous hai.
Tesla ne apni zindagi me 300+ patents file kiye, lekin unki kai discoveries unrecognized rahi. Unka vision wireless communication aur free energy ka tha. Aisa maana jaata hai ki unhone ek “death ray” banane ka claim bhi kiya tha, jise government ne classify kar diya. Tesla ka kaam sirf science nahi, ek futuristic imagination tha jo aaj bhi scientists ko inspire karta hai.
Ye kitab 1919 me "Electrical Experimenter" magazine me 6 parts me publish hui thi. Isme Tesla ne apne bachpan, education, inventions, experiments, aur personal life ke baare me direct aur honest tareeke se likha hai. Har chapter me ek specific invention ya life phase focus me hai. Is kitab se pata chalta hai ki Tesla kis tarah soch te the, unka memory system photographic tha, aur kaise unke dimaag me ek hi moment me pura machine design ban jaata tha.